ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi isko kya ho gaya
ye zamīñ jo saqāfat meñ zarḳhez thī is ko kyā ho gayā
is kī sharh-e-numū to bahut tez thī is ko kyā ho gayā
ab surāhī ke dāman meñ kuchh bhī nahīñ ḳhāmushī ke sivā
merī tārīḳh logoñ se labrez thī is ko kyā ho gayā
terī duniyā ko nazdīk se dekh kar ḳhud pe afsos hai
us kī tasvīr kitnī dil-āvez thī us ko kyā ho gayā
tum ne bārūd kī thailiyoñ meñ janā thā na.ī nasl ko
aaj kahte ho ye amn-angez thī is ko kyā ho gayā
is kī ḳhāk-e-shifā se jilā pā ga.e kitne ruumī yahāñ
ye zamīñ apnī shaukat meñ tabrez thī is ko kyā ho gayā
tujh badan ke manāzir kī nazzārgī hai ḳhizāñ-yāfta
ye siyāhat baḌī lutf-añgez thī is ko kyā ho gayā
pakke rangoñ meñ rangī huī aurteñ kitnī nāyāb haiñ
ye mohabbat jo mashshāq rañgrez thī is ko kyā ho gayā
zindagī apnī tarsīl kā marhala tai nahīñ kar sakī
varna raftār meñ maut se tez thī is ko kyā ho gayā
peḌ kī chhāl bhī kāTne kā jatan kar nahīñ pā.egī
merī talvār fitrat meñ ḳhūñ-rez thī is ko kyā ho gayā
shaḳhsiyat ke tanāsub meñ bechārgī baḌh rahī hai 'munīr'
ye kahānī bahut hī junūñ-ḳhez thī is ko kyā ho gayā
ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi is ko kya ho gaya
is ki sharh-e-numu to bahut tez thi is ko kya ho gaya
ab surahi ke daman mein kuchh bhi nahin KHamushi ke siwa
meri tariKH logon se labrez thi is ko kya ho gaya
teri duniya ko nazdik se dekh kar KHud pe afsos hai
us ki taswir kitni dil-awez thi us ko kya ho gaya
tum ne barud ki thailiyon mein jana tha nai nasl ko
aaj kahte ho ye amn-angez thi is ko kya ho gaya
is ki KHak-e-shifa se jila pa gae kitne rumi yahan
ye zamin apni shaukat mein tabrez thi is ko kya ho gaya
tujh badan ke manazir ki nazzargi hai KHizan-yafta
ye siyahat baDi lutf-angez thi is ko kya ho gaya
pakke rangon mein rangi hui aurten kitni nayab hain
ye mohabbat jo mashshaq rangrez thi is ko kya ho gaya
zindagi apni tarsil ka marhala tai nahin kar saki
warna raftar mein maut se tez thi is ko kya ho gaya
peD ki chhaal bhi kaTne ka jatan kar nahin paegi
meri talwar fitrat mein KHun-rez thi is ko kya ho gaya
shaKHsiyat ke tanasub mein bechaargi baDh rahi hai 'munir'
ye kahani bahut hi junun-KHez thi is ko kya ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.