ye zamin KHamosh hai ye aasman KHamosh hai
ye zamīñ ḳhāmosh hai ye āsmāñ ḳhāmosh hai
ik tirī āvāz sunñe ko jahāñ ḳhāmosh hai
tīrgī ke dasht meñ sūraj-mukhī khiltā nahīñ
vahshatoñ ke shor se 'umr-e-ravāñ ḳhāmosh hai
jab se terī yaad ke ghar se nikalne kā sunā
tab se ranjīda haiñ dīvāreñ makāñ ḳhāmosh hai
bevafā terī adā ne yuuñ karāyā chup mujhe
shor hai ab dil meñ par merī zabāñ ḳhāmosh hai
ġhair-fitrī manzaroñ ne gher rakkhā hai mujhe
bhuuk se rote hue bachche kī maañ ḳhāmosh hai
aaj mere mulk ke hālāt aise ho ga.e
apnī barbādī-e-qismat par javāñ ḳhāmosh hai
aap kī mahfil meñ tohmat lag ga.ī hai is liye
mere haq meñ jo likhā thā vo bayāñ ḳhāmosh hai
ye zamin KHamosh hai ye aasman KHamosh hai
ek teri aawaz sunne ko jahan KHamosh hai
tirgi ke dasht mein suraj-mukhi khilta nahin
wahshaton ke shor se 'umr-e-rawan KHamosh hai
jab se teri yaad ke ghar se nikalne ka suna
tab se ranjida hain diwaren makan KHamosh hai
bewafa teri ada ne yun karaya chup mujhe
shor hai ab dil mein par meri zaban KHamosh hai
ghair-fitri manzaron ne gher rakkha hai mujhe
bhuk se rote hue bachche ki man KHamosh hai
aaj mere mulk ke haalat aise ho gae
apni barbaadi-e-qismat par jawan KHamosh hai
aap ki mahfil mein tohmat lag gai hai is liye
mere haq mein jo likha tha wo bayan KHamosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.