ye zarurat ajib lagti hai
ye zarūrat ajiib lagtī hai
mujh ko aurat ajiib lagtī hai
jab bhī bujhte charāġh dekhe haiñ
apnī shohrat ajiib lagtī hai
sarhadoñ par saroñ kī fasleñ haiñ
ye zarā.at ajiib lagtī hai
aag miTTī havā lahū paanī
ye imārat ajiib lagtī hai
merī āvārgī ko būḌhoñ kī
har nasīhat ajiib lagtī hai
zindagī ḳhvāb TūTne tak hai
ye haqīqat ajiib lagtī hai
tū ne miTTī ko dhaḌkaneñ dī haiñ
terī rahmat ajiib lagtī hai
maañ kī shafqat agar na ho 'tāriq'
saarī daulat ajiib lagtī hai
ye zarurat ajib lagti hai
mujh ko aurat ajib lagti hai
jab bhi bujhte charagh dekhe hain
apni shohrat ajib lagti hai
sarhadon par saron ki faslen hain
ye zaraat ajib lagti hai
aag miTTi hawa lahu pani
ye imarat ajib lagti hai
meri aawargi ko buDhon ki
har nasihat ajib lagti hai
zindagi KHwab TuTne tak hai
ye haqiqat ajib lagti hai
tu ne miTTi ko dhaDkanen di hain
teri rahmat ajib lagti hai
man ki shafqat agar na ho 'tariq'
sari daulat ajib lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.