ye zaruri hai nazar sab ki TaToli jae
ye zarūrī hai nazar sab kī TaTolī jaa.e
baad meñ zulf-e-suḳhan bazm meñ kholī jaa.e
bol uTThegā har ik harf suḳhan kā apne
haañ magar nok-e-qalam dil meñ Dubo lī jaa.e
raushnī itnī ziyāda hai galī meñ us kī
koshisheñ laakh karūñ aañkh na kholī jaa.e
us ko vahshī bhī samajh lete haiñ āsānī se
pyaar kī bolī kisī bolī meñ bolī jaa.e
e.atibār apnā bahar-hāl vo kho detī hai
baat jo dil ke tarāzū meñ na tolī jaa.e
vaqt guzrā to koī faiz na hāsil hogā
fasl vo fasl hai jo vaqt pe bo lī jaa.e
'nūr' miltī hai kahāñ narm-mizājī sab ko
chiiz achchhī hai tabī.at meñ samo lī jaa.e
ye zaruri hai nazar sab ki TaToli jae
baad mein zulf-e-suKHan bazm mein kholi jae
bol uTThega har ek harf suKHan ka apne
han magar nok-e-qalam dil mein Dubo li jae
raushni itni ziyaada hai gali mein us ki
koshishen lakh karun aankh na kholi jae
us ko wahshi bhi samajh lete hain aasani se
pyar ki boli kisi boli mein boli jae
eatibar apna bahar-haal wo kho deti hai
baat jo dil ke taraazu mein na toli jae
waqt guzra to koi faiz na hasil hoga
fasl wo fasl hai jo waqt pe bo li jae
'nur' milti hai kahan narm-mizaji sab ko
chiz achchhi hai tabiat mein samo li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.