ye zauq pech-o-tab ka ye raqs mauj-e-ab ka
ye zauq pech-o-tāb kā ye raqs mauj-e-āb kā
ajiib rang hai hamāre dil ke iztirāb kā
ye zindagī ye be-kanār ranj-o-ġham kī dāstān
ye zindagī ḳhayāl hai javāniyoñ ke ḳhvāb kā
mirī guzārishāt ke javāb meñ ye ḳhāmushī
mujhe gumāñ na thā is intihā-e-ijtināb kā
tirī nigāh hai ki kaif-e-tāza kā payām hai
tirī nigāh hai ki daur hai sharāb-e-nāb kā
vo mere ranj-o-ġham ne ham-nafas talāsh kar liyā
vo phīkā paḌ gayā hai rang rū-e-māhtāb kā
ġharīb 'fitrat' āj-kal ḳhamosh-o-girya-kosh hai
kabhī to rang dekh us ke dīda-e-pur-āb kā
ye zauq pech-o-tab ka ye raqs mauj-e-ab ka
ajib rang hai hamare dil ke iztirab ka
ye zindagi ye be-kanar ranj-o-gham ki dastan
ye zindagi KHayal hai jawaniyon ke KHwab ka
meri guzarishat ke jawab mein ye KHamushi
mujhe guman na tha is intiha-e-ijtinab ka
teri nigah hai ki kaif-e-taza ka payam hai
teri nigah hai ki daur hai sharab-e-nab ka
wo mere ranj-o-gham ne ham-nafas talash kar liya
wo phika paD gaya hai rang ru-e-mahtab ka
gharib 'fitrat' aaj-kal KHamosh-o-girya-kosh hai
kabhi to rang dekh us ke dida-e-pur-ab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.