ye zindagi ab aur nahin chahiye mujhe
ye zindagī ab aur nahīñ chāhiye mujhe
vo de sake to maut hasīñ chāhiye mujhe
ye ḳhauf thā ki mil ke bhī kho jā.egā vo shaḳhs
so maiñ ne kah diyā ki nahīñ chāhiye mujhe
ghar chhoḌnā hai chhoḌ magar itnā yaad rakh
jo chiiz jis jagah thī vahīñ chāhiye mujhe
bejoḌ dostī hai mirī mere dil ke saath
jo us ko chāhiye hai nahīñ chāhiye mujhe
maiñ is liye khilaunā koī dekhtā na thā
maañ baap soch leñ na kahīñ chāhiye mujhe
ik to maiñ misl-e-dasht koī ret kā makāñ
aur us pe mustazād makīñ chāhiye mujhe
ye zindagi ab aur nahin chahiye mujhe
wo de sake to maut hasin chahiye mujhe
ye KHauf tha ki mil ke bhi kho jaega wo shaKHs
so main ne kah diya ki nahin chahiye mujhe
ghar chhoDna hai chhoD magar itna yaad rakh
jo chiz jis jagah thi wahin chahiye mujhe
bejoD dosti hai meri mere dil ke sath
jo us ko chahiye hai nahin chahiye mujhe
main is liye khilauna koi dekhta na tha
man bap soch len na kahin chahiye mujhe
ek to main misl-e-dasht koi ret ka makan
aur us pe mustazad makin chahiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.