ye zindagi hai jahan faraghat ka pal nahin hai
ye zindagi hai jahan faraghat ka pal nahin hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ye zindagī hai jahāñ farāġhat kā pal nahīñ hai
so tai huā hai koī Thikāna aTal nahīñ hai
kahāñ chaleñ aur kaun se dar ko khaTkhaTā.eñ
agar tire paas bhī udāsī kā hal nahīñ hai
azal se hijrat mire muqaddar meñ likhne vaale
to kyā kahānī meñ koī radd-o-badal nahīñ hai
ajab ta'alluq hai jis meñ yaksar sukūñ ke pal haiñ
ajiib rassī hai jis meñ koī bhī bal nahīñ hai
guzar ga.ī zindagānī kāġhaz qalam uThā.e
tumhāre shāyān-e-shān ik bhī ġhazal nahīñ hai
hamārī āñkhoñ meñ dekh sakte ho bahtā jehlam
hamārī bastī meñ ik akelā ye thal nahīñ hai
ye zindagi hai jahan faraghat ka pal nahin hai
so tai hua hai koi Thikana aTal nahin hai
kahan chalen aur kaun se dar ko khaTkhaTaen
agar tere pas bhi udasi ka hal nahin hai
azal se hijrat mere muqaddar mein likhne wale
to kya kahani mein koi radd-o-badal nahin hai
ajab ta'alluq hai jis mein yaksar sukun ke pal hain
ajib rassi hai jis mein koi bhi bal nahin hai
guzar gai zindagani kaghaz qalam uThae
tumhaare shayan-e-shan ek bhi ghazal nahin hai
hamari aankhon mein dekh sakte ho bahta jehlam
hamari basti mein ek akela ye thal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.