ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyan
ye zindagī hai ki aaseb kā safar hai miyāñ
charāġh le ke nikalnā baḌā hunar hai miyāñ
pata chale jo mohabbat kā dard le ke chalo
mire makāñ kī galī kitnī muḳhtasar hai miyāñ
nahā.eñgī mirī zau meñ hazār-hā sadiyāñ
maiñ vo charāġh nahīñ huuñ jo raat bhar hai miyāñ
tumhārī raat pe itnā hī tabsira hai bahut
makīñ añdhere meñ haiñ chāñdnī meñ ghar hai miyāñ
likhā hai vaqt ne sadiyoñ safar ke ba.ad use
ye daur jhuuT sahī phir bhī mo'atabar hai miyāñ
milegī raakh na tum ko hamāre chehre par
badan meñ rah ke sulagnā baḌā hunar hai miyāñ
ab intizār kī tāqat nahīñ rahī 'qaisar'
kuchh aur roz na sochā to sab khañDar hai miyāñ
ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyan
charagh le ke nikalna baDa hunar hai miyan
pata chale jo mohabbat ka dard le ke chalo
mere makan ki gali kitni muKHtasar hai miyan
nahaengi meri zau mein hazar-ha sadiyan
main wo charagh nahin hun jo raat bhar hai miyan
tumhaari raat pe itna hi tabsira hai bahut
makin andhere mein hain chandni mein ghar hai miyan
likha hai waqt ne sadiyon safar ke baad use
ye daur jhuT sahi phir bhi mo'atabar hai miyan
milegi rakh na tum ko hamare chehre par
badan mein rah ke sulagna baDa hunar hai miyan
ab intizar ki taqat nahin rahi 'qaisar'
kuchh aur roz na socha to sab khanDar hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.