ye zindagi to musalsal sawal karti hai
ye zindagī to musalsal savāl kartī hai
magar javāb vahī ḳhāmushī Thahartī hai
tire ḳhayāl ke sāhil se dekhtī huuñ maiñ
tirī hī shakl har ik mauj se ubhartī hai
kisī raqīb se miltī hai jab ḳhabar terī
tujhe pata hai mire dil pe kyā guzartī hai
galī galī meñ mileñge ġhazal ke dīvāne
magar ye shoḳh bahut kam kisī pe martī hai
maiñ sahar meñ tirī bātoñ ke khoī rahtī huuñ
kisī kī baat mire dil meñ kab utartī hai
zarā sī der ko ruktā to hai safar lekin
kisī ke jaane se kab zindagī Thahartī hai
gañvā ke ḳhud ko bhī paayā na maiñ ne kuchh 'raḳhshāñ'
kabhī kabhī yahī lā-hāsilī akhartī hai
ye zindagi to musalsal sawal karti hai
magar jawab wahi KHamushi Thaharti hai
tere KHayal ke sahil se dekhti hun main
teri hi shakl har ek mauj se ubharti hai
kisi raqib se milti hai jab KHabar teri
tujhe pata hai mere dil pe kya guzarti hai
gali gali mein milenge ghazal ke diwane
magar ye shoKH bahut kam kisi pe marti hai
main sahar mein teri baaton ke khoi rahti hun
kisi ki baat mere dil mein kab utarti hai
zara si der ko rukta to hai safar lekin
kisi ke jaane se kab zindagi Thaharti hai
ganwa ke KHud ko bhi paya na main ne kuchh 'raKHshan'
kabhi kabhi yahi la-hasili akharti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.