ye zulm hai ki mere shahr ka jo qatil hai
ye zulm hai ki mire shahr kā jo qātil hai
hazār jaan se vo dostī ke qābil hai
mujhe hī vaar pe laatā hai har zamāne meñ
mujhe batā ye zamāna kahāñ kā 'ādil hai
lahū aur aag kā dariyā hai mere raste meñ
ki merī zaat hī raste meñ mere haa.il hai
sadāqatoñ se nikhartā hai aadmī kā shu'ūr
sadāqatoñ ko samajhnā bahut hī mushkil hai
maiñ apnī zaat meñ huuñ bahr mujh ko kyā parvā
amīr-e-shahr jo dariyā-dilī pe maa.il hai
mirī zabān se haq baat hī nikaltī hai
ye aur baat ki chhātī pe jabr kī sil hai
hai sarḳhushī kī tamannā bahut mire dil meñ
vo is liye ki ye dil ek dukh-bharā dil hai
ye zulm hai ki mere shahr ka jo qatil hai
hazar jaan se wo dosti ke qabil hai
mujhe hi war pe lata hai har zamane mein
mujhe bata ye zamana kahan ka 'adil hai
lahu aur aag ka dariya hai mere raste mein
ki meri zat hi raste mein mere hail hai
sadaqaton se nikharta hai aadmi ka shu'ur
sadaqaton ko samajhna bahut hi mushkil hai
main apni zat mein hun bahr mujh ko kya parwa
amir-e-shahr jo dariya-dili pe mail hai
meri zaban se haq baat hi nikalti hai
ye aur baat ki chhati pe jabr ki sil hai
hai sarKHushi ki tamanna bahut mere dil mein
wo is liye ki ye dil ek dukh-bhara dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.