ye zulm-o-jabr ke mausam mein ho banjar nahin jati
ye zulm-o-jabr ke mausam meñ ho banjar nahīñ jaatī
nazar-andāz hone se sadāqat mar nahīñ jaatī
nigah vaise to puure shahr kī nigrān Thahrī hai
magar apne garebāñ kī taraf aksar nahīñ jaatī
kabhī mat bhuul karnā dil kahīñ par bhuul aane kī
paḌe ik baar jo 'ādat vo jīvan-bhar nahīñ jaatī
na jaane mere siine meñ ye kaisā ḳhauf paltā hai
jo bāhar saañs aa jaa.e vo phir andar nahīñ jaatī
hamesha se hī tanhā.ī hamāre saath phirtī hai
hai shāyad ye bhī be-ghar tab hī apne ghar nahīñ jaatī
ye zulm-o-jabr ke mausam mein ho banjar nahin jati
nazar-andaz hone se sadaqat mar nahin jati
nigah waise to pure shahr ki nigran Thahri hai
magar apne gareban ki taraf aksar nahin jati
kabhi mat bhul karna dil kahin par bhul aane ki
paDe ek bar jo 'adat wo jiwan-bhar nahin jati
na jaane mere sine mein ye kaisa KHauf palta hai
jo bahar sans aa jae wo phir andar nahin jati
hamesha se hi tanhai hamare sath phirti hai
hai shayad ye bhi be-ghar tab hi apne ghar nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.