yunhi be-wajh to wo humse na bichhDa hoga
yuñhī be-vaj.h to vo ham se na bichhḌā hogā
kuchh na kuchh us ne bichhaḌte hue sochā hogā
kyā kaheñ soch ke aatā hai kaleja muñh ko
kis tarah ġhair ke pahlū meñ vo baiThā hogā
ḳhud-kushī kah ke na Taalo ise tahqīq karo
us ko yāroñ ne hī khaa.ī meñ dhakelā hogā
go mujhe bhuul gayā thā vo magar ye tai hai
vo sar-e-rāh mujhe dekh ke chauñkā hogā
kyā use merī tabī'at kī bhī ab fikr nahīñ
yā kisī dost se us ne mirā pūchhā hogā
tū ne jo shaḳhs chunā hai ye yaqīñ hai mujh ko
mujh se baḌh kar vo tire pahlū meñ jachtā hogā
ai mirī jān-e-ġhazal ye to batā vo 'haidar'
vo jo shā'ir thā tujhe yaad to aatā hogā
yunhi be-wajh to wo hum se na bichhDa hoga
kuchh na kuchh us ne bichhaDte hue socha hoga
kya kahen soch ke aata hai kaleja munh ko
kis tarah ghair ke pahlu mein wo baiTha hoga
KHud-kushi kah ke na Talo ise tahqiq karo
us ko yaron ne hi khai mein dhakela hoga
go mujhe bhul gaya tha wo magar ye tai hai
wo sar-e-rah mujhe dekh ke chaunka hoga
kya use meri tabi'at ki bhi ab fikr nahin
ya kisi dost se us ne mera puchha hoga
tu ne jo shaKHs chuna hai ye yaqin hai mujh ko
mujh se baDh kar wo tere pahlu mein jachta hoga
ai meri jaan-e-ghazal ye to bata wo 'haidar'
wo jo sha'ir tha tujhe yaad to aata hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.