yun aashiyan ko dekh rahe hain qafas se hum
yuuñ āshiyāñ ko dekh rahe haiñ qafas se ham
goyā ye koī phuul hai fasl-e-bahār kā
mastī meñ khīñch lete haiñ zindān-e-mai-parast
dāman pakaḌ ke rahmat-e-parvardigār kā
lākhoñ musībateñ haiñ magar phir bhī roz-e-hashr
mahbūb hai ki din hai tire intizār kā
ai be-ḳhudī bhaTak ke chale aa.e ḳhuld meñ
ham rāsta hī bhuul ga.e kū-e-yār kā
sab kuchh ise mile jo ye ho jaa.e nā-umīd
bas aasrā hai ye tire umīd-vār kā
yun aashiyan ko dekh rahe hain qafas se hum
goya ye koi phul hai fasl-e-bahaar ka
masti mein khinch lete hain zindan-e-mai-parast
daman pakaD ke rahmat-e-parwardigar ka
lakhon musibaten hain magar phir bhi roz-e-hashr
mahbub hai ki din hai tere intizar ka
ai be-KHudi bhaTak ke chale aae KHuld mein
hum rasta hi bhul gae ku-e-yar ka
sab kuchh ise mile jo ye ho jae na-umid
bas aasra hai ye tere umid-war ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.