yun achanak kisi ki yaad aai
yuuñ achānak kisī kī yaad aa.ī
dil meñ bajne lagī hai shahnā.ī
kyoñ ye dil us galī meñ jaatā hai
jis meñ hai har qadam pe rusvā.ī
us kī har ik adā nashāt-angez
ḳhāmushī us kī ek ra.anā.ī
husn kā raaz to khulā hī nahīñ
haiñ shab-o-roz sab tamāshā.ī
phuul bantī haiñ bas vahī kaliyāñ
chuum letī hai jin ko purvā.ī
fāsle darmiyāñ meñ kitne haiñ
maiñ kahāñ aur kahāñ vo harjā.ī
kāTte kaise zindagī ham log
gar na hote tire tamannā.ī
dil ne har baar terā naam liyā
koī sūrat agar nazar aa.ī
mausam-e-ġham batā.eñ kyā hai 'asar'
kam-sinoñ kī javān añgḌā.ī
yun achanak kisi ki yaad aai
dil mein bajne lagi hai shahnai
kyon ye dil us gali mein jata hai
jis mein hai har qadam pe ruswai
us ki har ek ada nashat-angez
KHamushi us ki ek ranai
husn ka raaz to khula hi nahin
hain shab-o-roz sab tamashai
phul banti hain bas wahi kaliyan
chum leti hai jin ko purwai
fasle darmiyan mein kitne hain
main kahan aur kahan wo harjai
kaTte kaise zindagi hum log
gar na hote tere tamannai
dil ne har bar tera nam liya
koi surat agar nazar aai
mausam-e-gham bataen kya hai 'asar'
kam-sinon ki jawan angDai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.