yun apni shairi hamein manzur ho gai
yuuñ apnī shā'irī hameñ manzūr ho ga.ī
jo bhī ġhazal sunā.ī vo mash.hūr ho ga.ī
jis ke liye asīr-e-ġham-o-dard ham hue
vo chiiz 'umr-bhar ke liye duur ho ga.ī
vo laḌkī jis se ham ko vafā kī umiid thī
ġhurbat hamārī dekh ke maġhrūr ho ga.ī
jis din se tum ne rakkhā hai dahlīz par qadam
har raat zindagānī kī pur-nūr ho ga.ī
shahnā.iyāñ sī bajne lagīñ mere zehn meñ
dekhā jo un ko jaañ mirī masrūr ho ga.ī
pahlī nazar meñ 'ishq-girafta huā thā dil
phir yuuñ huā ki zindagī bharpūr ho ga.ī
dekhī jo aaj maiñ ne tirī be-ruḳhī 'ḳhatīb'
merī zabāñ bhī tanz pe majbūr ho ga.ī
yun apni sha'iri hamein manzur ho gai
jo bhi ghazal sunai wo mashhur ho gai
jis ke liye asir-e-gham-o-dard hum hue
wo chiz 'umr-bhar ke liye dur ho gai
wo laDki jis se hum ko wafa ki umid thi
ghurbat hamari dekh ke maghrur ho gai
jis din se tum ne rakkha hai dahliz par qadam
har raat zindagani ki pur-nur ho gai
shahnaiyan si bajne lagin mere zehn mein
dekha jo un ko jaan meri masrur ho gai
pahli nazar mein 'ishq-girafta hua tha dil
phir yun hua ki zindagi bharpur ho gai
dekhi jo aaj main ne teri be-ruKHi 'KHatib'
meri zaban bhi tanz pe majbur ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.