yun ashk mohabbat mein bahaya nahin jata
yuuñ ashk mohabbat meñ bahāyā nahīñ jaatā
aur zaḳhm-e-jigar sab ko dikhāyā nahīñ jaatā
kuchh kam nahīñ ho jaa.e kisī ik se mohabbat
dil sab se sar-e-rāh lagāyā nahīñ jaatā
ik vo haiñ ki jo ham ko bhulā baiThe haiñ lekin
ham un ko bhulāte haiñ bhulāyā nahīñ jaatā
ye rāz-e-mohabbat bhī 'ajab raaz hai yaaro
ham laakh chhupāte haiñ chhupāyā nahīñ jaatā
tasvīr ye kis kī mirī āñkhoñ meñ hai 'dānish'
husn aisā kisī aur meñ paayā nahīñ jaatā
yun ashk mohabbat mein bahaya nahin jata
aur zaKHm-e-jigar sab ko dikhaya nahin jata
kuchh kam nahin ho jae kisi ek se mohabbat
dil sab se sar-e-rah lagaya nahin jata
ek wo hain ki jo hum ko bhula baiThe hain lekin
hum un ko bhulate hain bhulaya nahin jata
ye raaz-e-mohabbat bhi 'ajab raaz hai yaro
hum lakh chhupate hain chhupaya nahin jata
taswir ye kis ki meri aankhon mein hai 'danish'
husn aisa kisi aur mein paya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.