yun baaten to bahut sari karoge
yuuñ bāteñ to bahut saarī karoge
kaho kyā nāz-bardārī karoge
abhī bāteñ bahut pyārī karoge
magar kal kyā vafā-dārī karoge
sahāfī ho magar hoshyār rahnā
jo ghar meñ baat aḳhbārī karoge
mujhe ye shādmānī khal rahī hai
kab apnī yaad ko taarī karoge
badan ke ek ik kone meñ mere
kab apne lab se zar-kārī karoge
purāne zāviye se sher kah ke
kahāñ tak 'haq' ġhazal-kārī karoge
yun baaten to bahut sari karoge
kaho kya naz-bardari karoge
abhi baaten bahut pyari karoge
magar kal kya wafa-dari karoge
sahafi ho magar hoshyar rahna
jo ghar mein baat aKHbari karoge
mujhe ye shadmani khal rahi hai
kab apni yaad ko tari karoge
badan ke ek ek kone mein mere
kab apne lab se zar-kari karoge
purane zawiye se sher kah ke
kahan tak 'haq' ghazal-kari karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.