yun baiThe rah ke sar-e-rahguzar kya karna
yuuñ baiThe rah ke sar-e-rahguzār kyā karnā
vo jā chukā hai to ab intizār kyā karnā
ye soch kar maiñ tujhe hāl-e-dil nahīñ kahtā
ki apne saath tujhe sogvār kyā karnā
agar ye farz hai to aa mu’āshre pe kareñ
bas ek fard pe jaañ ko nisār kyā karnā
mile haiñ dard to ḳhush ho ke thaam lo yaaro
ki rāh-e-'ishq hai āh-o-pukār kyā karnā
mohabbatoñ kā hadaf rūh-e-nūr hai 'abbās'
badan to miTTī hai miTTī se pyaar kyā karnā
yun baiThe rah ke sar-e-rahguzar kya karna
wo ja chuka hai to ab intizar kya karna
ye soch kar main tujhe haal-e-dil nahin kahta
ki apne sath tujhe sogwar kya karna
agar ye farz hai to aa mu’ashre pe karen
bas ek fard pe jaan ko nisar kya karna
mile hain dard to KHush ho ke tham lo yaro
ki rah-e-'ishq hai aah-o-pukar kya karna
mohabbaton ka hadaf ruh-e-nur hai 'abbas'
badan to miTTi hai miTTi se pyar kya karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.