yun bane-sanwre hue se phul hain gulzar mein
yuuñ bane-sañvre hue se phuul haiñ gulzār meñ
sair ko niklī hoñ jaise laḌkiyāñ bāzār meñ
ye tirā husn-e-takallum ye tirā husn-e-bayāñ
TūTne lagte haiñ ā.īne tirī guftār meñ
kis ne pheñkā hai ye patthar zehn ke tālāb meñ
ek tūfāñ sā bapā hai ab mire afkār meñ
tere chehre par nazar aate haiñ apne hī nuqūsh
hai mirā dīdār bhī shāmil tire dīdār meñ
ik zamīñ kā chāñd phir hogā darīchoñ se tulūa
āsmāñ kā chāñd chhup jā.egā jab ashjār meñ
terī aamad āmad-e-fasl-e-bahārāñ ban ga.ī
phūloñ se khilne lage mere dar-o-dīvār meñ
mere sheroñ meñ na Dhal paatā tirā aks-e-jamīl
ye samundar kyā simaTtā kūza-e-izhār meñ
yun bane-sanwre hue se phul hain gulzar mein
sair ko nikli hon jaise laDkiyan bazar mein
ye tera husn-e-takallum ye tera husn-e-bayan
TuTne lagte hain aaine teri guftar mein
kis ne phenka hai ye patthar zehn ke talab mein
ek tufan sa bapa hai ab mere afkar mein
tere chehre par nazar aate hain apne hi nuqush
hai mera didar bhi shamil tere didar mein
ek zamin ka chand phir hoga darichon se tulua
aasman ka chand chhup jaega jab ashjar mein
teri aamad aamad-e-fasl-e-bahaaran ban gai
phulon se khilne lage mere dar-o-diwar mein
mere sheron mein na Dhal pata tera aks-e-jamil
ye samundar kya simaTta kuza-e-izhaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.