yun bhi baqi hain abhi jine ke aasar mere
yuuñ bhī baaqī haiñ abhī jiine ke āsār mire
bistar-e-marg se uTThe haiñ ka.ī yaar mire
mauj-e-idrāk se sūraj kī shuā.eñ phūTīñ
to nazar aa.e kuchh an-dekhe se kirdār mire
sīna-e-shab meñ machaltā hai udāsī kā badan
ek tasvīr meñ dikhte haiñ ye āzār mire
ḳhvāb bāzār meñ laayā huuñ tijārat ke liye
soch kar karnā zarā saudā ḳharīdār mire
har nazāre meñ chhupā baiThā hai man kā joban
kis tarah ḳhud ko sambhālegā ai hushiyār mire
apnī āñkhoñ meñ tirī pyaas liye phirtā huuñ
ik nazar merī taraf dekh ai dil-dār mire
mujh ko sahrā meñ zarā ḳhaak uḌānī hai abhī
is liye der se ā.eñge parastār mire
pahle mushkil se samundar meñ safīna utrā
aur phir chhūT ga.ī haath se patvār mire
maiñ ne lafzoñ se bunā hai vo zamāna yaaro
ġhaur karne pe nazar ā.eñge ash.ār mire
yun bhi baqi hain abhi jine ke aasar mere
bistar-e-marg se uTThe hain kai yar mere
mauj-e-idrak se suraj ki shuaen phuTin
to nazar aae kuchh an-dekhe se kirdar mere
sina-e-shab mein machalta hai udasi ka badan
ek taswir mein dikhte hain ye aazar mere
KHwab bazar mein laya hun tijarat ke liye
soch kar karna zara sauda KHaridar mere
har nazare mein chhupa baiTha hai man ka joban
kis tarah KHud ko sambhaalega ai hushiyar mere
apni aankhon mein teri pyas liye phirta hun
ek nazar meri taraf dekh ai dil-dar mere
mujh ko sahra mein zara KHak uDani hai abhi
is liye der se aaenge parastar mere
pahle mushkil se samundar mein safina utra
aur phir chhuT gai hath se patwar mere
main ne lafzon se buna hai wo zamana yaro
ghaur karne pe nazar aaenge ashaar mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.