yun bhi chhupta hai bhala wajd mein aaya hua rang
yuuñ bhī chhuptā hai bhalā vajd meñ aayā huā rang
sab ko dikhne lagā ehsās pe chhāyā huā rang
qīmtī shai kī tarah maiñ ne sañbhālā huā hai
terī poshāk ke rangoñ se churāyā huā rang
yā'nī phir mere muqaddar meñ vo sā'at aa.ī
pahnā hai yaar ne ab merā batāyā huā rang
raqs kartī huī bal khātī huī Daalī par
aañkh ne dekhā hai shabnam meñ nahāyā huā rang
surma.ī shaam Dhalī baaġh meñ ḳhushbū utrī
yaad aayā tirī qurbat kā bhulāyā huā rang
zard lamhoñ meñ agar lafz-e-ḳhamoshī oḌheñ
haal kahtā hai mirī aañkh meñ aayā huā rang
itnī tauqīr jo merī hai zamāne meñ 'sa’īd'
rang hai mujh pe ye murshid kā chaḌhāyā huā rang
yun bhi chhupta hai bhala wajd mein aaya hua rang
sab ko dikhne laga ehsas pe chhaya hua rang
qimti shai ki tarah main ne sanbhaala hua hai
teri poshak ke rangon se churaya hua rang
ya'ni phir mere muqaddar mein wo sa'at aai
pahna hai yar ne ab mera bataya hua rang
raqs karti hui bal khati hui Dali par
aankh ne dekha hai shabnam mein nahaya hua rang
surmai sham Dhali bagh mein KHushbu utri
yaad aaya teri qurbat ka bhulaya hua rang
zard lamhon mein agar lafz-e-KHamoshi oDhen
haal kahta hai meri aankh mein aaya hua rang
itni tauqir jo meri hai zamane mein 'sa’id'
rang hai mujh pe ye murshid ka chaDhaya hua rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.