yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona
yuuñ bhī dekhā na kabhī dard kā darmāñ honā
haa.e vo nashtar-e-mizhgāñ kā rag-e-jāñ honā
vo tamannāoñ kā rah rah ke pareshāñ honā
vo tirī yaad kā dil meñ tire mehmāñ honā
parde parde meñ tire vasl kā sāmāñ honā
dard-e-pinhāñ kā tirā ġhamza-e-pinhāñ honā
mahshar-e-nāz haiñ zarrāt-e-fazā-e-kaunain
allah allah kisī kāfir kā ḳhirāmāñ honā
har ghaḌī ik na.e aalam kī ḳhabar detā hai
mirā hañsnā mirā ronā mirā hairāñ honā
josh-e-ābādī-e-duniyā se mohabbat ya.anī
dil-e-hasrat-zada kā mahshar-e-hirmāñ honā
aah maiñ huuñ vo siyah-baḳht ki taqdīr meñ thā
barq se mere nasheman kā charāġhāñ honā
ḳhair apnī nahīñ tujh ko ye kahe detā hai
apnī har ek adā par tirā hairāñ honā
jalva-e-bazm-e-azal jalva-e-tūr-e-mahshar
hai mire shauq ke ajzā kā pareshāñ honā
dekhiye nāz-e-taġhāful ko dikhā.e kyā rang
ashk hasrat kā sar-e-dāman-e-mizhgāñ honā
vādī-e-ma.arifat-o-shauq ke allah re nasīb
jis kī qismat meñ thā 'beḳhud' kā bayābāñ honā
yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona
hae wo nashtar-e-mizhgan ka rag-e-jaan hona
wo tamannaon ka rah rah ke pareshan hona
wo teri yaad ka dil mein tere mehman hona
parde parde mein tere wasl ka saman hona
dard-e-pinhan ka tera ghamza-e-pinhan hona
mahshar-e-naz hain zarraat-e-faza-e-kaunain
allah allah kisi kafir ka KHiraman hona
har ghaDi ek nae aalam ki KHabar deta hai
mera hansna mera rona mera hairan hona
josh-e-abaadi-e-duniya se mohabbat yani
dil-e-hasrat-zada ka mahshar-e-hirman hona
aah main hun wo siyah-baKHt ki taqdir mein tha
barq se mere nasheman ka charaghan hona
KHair apni nahin tujh ko ye kahe deta hai
apni har ek ada par tera hairan hona
jalwa-e-bazm-e-azal jalwa-e-tur-e-mahshar
hai mere shauq ke ajza ka pareshan hona
dekhiye naz-e-taghaful ko dikhae kya rang
ashk hasrat ka sar-e-daman-e-mizhgan hona
wadi-e-marifat-o-shauq ke allah re nasib
jis ki qismat mein tha 'beKHud' ka bayaban hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.