yun bhi dil be-qarar hota hai
yuuñ bhī dil be-qarār hotā hai
'ishq misl-e-buḳhār hotā hai
merā hāfiz na-jāne kyoñ mujh par
teġh lekar savār hotā hai
jaane kaisā ye baaġh hai ki yahāñ
ek ik phuul ḳhaar hotā hai
ham ko barbād kar gayā lekin
ham ko us se hī pyaar hotā hai
aa ke mujh se hī māñgtā hai udhār
jis pe merā udhār hotā hai
ho ga.iiñ puurī ḳhvāhishāt mirī
dil magar be-qarār hotā hai
merā dushman bhī mere marne par
jaane kyoñ sogvār hotā hai
jhuuT kahte haiñ aap phir bhī magar
aap kā e'tibār hotā hai
ab ye insāniyat kā 'ālam hai
is ko maar us ko maar hotā hai
'ishq kī tez dhaar se har roz
mustaqil mujh pe vaar hotā hai
yun bhi dil be-qarar hota hai
'ishq misl-e-buKHar hota hai
mera hafiz na-jaane kyon mujh par
tegh lekar sawar hota hai
jaane kaisa ye bagh hai ki yahan
ek ek phul KHar hota hai
hum ko barbaad kar gaya lekin
hum ko us se hi pyar hota hai
aa ke mujh se hi mangta hai udhaar
jis pe mera udhaar hota hai
ho gain puri KHwahishat meri
dil magar be-qarar hota hai
mera dushman bhi mere marne par
jaane kyon sogwar hota hai
jhuT kahte hain aap phir bhi magar
aap ka e'tibar hota hai
ab ye insaniyat ka 'alam hai
is ko mar us ko mar hota hai
'ishq ki tez dhaar se har roz
mustaqil mujh pe war hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.