yun bhi hui hai unki inayat kabhi kabhi
yuuñ bhī huī hai un kī ināyat kabhī kabhī
dil par guzar ga.ī hai qayāmat kabhī kabhī
ai chashm-e-iltifāt ye kaisā tilism hai
paatā huuñ ab jo dard meñ lazzat kabhī kabhī
shaiḳh-e-haram ho muftī-e-āzam ho yā imaam
har nek dil ko hotī hai chāhat kabhī kabhī
allah re shauq-e-dīd ki ḳhud apnī zaat meñ
dekhī hai maiñ ne aap kī sūrat kabhī kabhī
maiñ ne to muñh se uf bhī nahīñ kī hai aaj tak
tum ne zarūr kī hai shikāyat kabhī kabhī
tum bhī 'ziyā' fareb-e-tabassum meñ aa ga.e
tum ko bhī ho chukī hai nadāmat kabhī kabhī
yun bhi hui hai un ki inayat kabhi kabhi
dil par guzar gai hai qayamat kabhi kabhi
ai chashm-e-iltifat ye kaisa tilism hai
pata hun ab jo dard mein lazzat kabhi kabhi
shaiKH-e-haram ho mufti-e-azam ho ya imam
har nek dil ko hoti hai chahat kabhi kabhi
allah re shauq-e-did ki KHud apni zat mein
dekhi hai main ne aap ki surat kabhi kabhi
main ne to munh se uf bhi nahin ki hai aaj tak
tum ne zarur ki hai shikayat kabhi kabhi
tum bhi 'ziya' fareb-e-tabassum mein aa gae
tum ko bhi ho chuki hai nadamat kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.