yun bhi kamal kijiye ek ghar banaiye
yuuñ bhī kamāl kījiye ik ghar banā.iye
dīvār-o-dar kī qaid se bāhar banā.iye
ab vo chalā gayā hai to din raat baiTh kar
us kī misāl kā koī paikar banā.iye
aisā bhī kuchh to ho ki jo dil ko lubhā sake
āñkheñ jo chāhtī haiñ vo manzar banā.iye
phir haath bhī na aa.egī ye muḳhtasar hayāt
jitnā bhī ho sake ise behtar banā.iye
vo mil nahīñ rahā hameñ koshish ke bāvajūd
kis tarh ḳhud ko ziist kā ḳhūgar banā.iye
jo shai bhī aap se kabhī bantī nahīñ 'asar'
ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ use aksar banā.iye
yun bhi kamal kijiye ek ghar banaiye
diwar-o-dar ki qaid se bahar banaiye
ab wo chala gaya hai to din raat baiTh kar
us ki misal ka koi paikar banaiye
aisa bhi kuchh to ho ki jo dil ko lubha sake
aankhen jo chahti hain wo manzar banaiye
phir hath bhi na aaegi ye muKHtasar hayat
jitna bhi ho sake ise behtar banaiye
wo mil nahin raha hamein koshish ke bawajud
kis tarh KHud ko zist ka KHugar banaiye
jo shai bhi aap se kabhi banti nahin 'asar'
KHwab-o-KHayal mein use aksar banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.