yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha
yuuñ bhī nahīñ ki dil meñ koī ġham nahīñ rahā
ye silsila kuchh itnā munazzam nahīñ rahā
dil se to ḳhair dho ga.ī bārish tamām naqsh
dīvār-e-shahr kā bhī vo aalam nahīñ rahā
zid par vo apnī aaj bhī qaa.em to hai magar
aglā sā vo bayān meñ dam-ḳham nahīñ rahā
māyūs ho chukā hai ki hai mutma.in ye dil
vo zaḳhm bhar ga.e haiñ ki marham nahīñ rahā
kashtī-e-dil to ek thapeḌe kī maar thī
tūfān-e-nāz kis liye ab tham nahīñ rahā
chhoḌī hai jab se ham ne 'zafar' ājizī kī ḳhū
itnā mizāj us kā bhī barham nahīñ rahā
yun bhi nahin ki dil mein koi gham nahin raha
ye silsila kuchh itna munazzam nahin raha
dil se to KHair dho gai barish tamam naqsh
diwar-e-shahr ka bhi wo aalam nahin raha
zid par wo apni aaj bhi qaem to hai magar
agla sa wo bayan mein dam-KHam nahin raha
mayus ho chuka hai ki hai mutmain ye dil
wo zaKHm bhar gae hain ki marham nahin raha
kashti-e-dil to ek thapeDe ki mar thi
tufan-e-naz kis liye ab tham nahin raha
chhoDi hai jab se hum ne 'zafar' aajizi ki KHu
itna mizaj us ka bhi barham nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.