yun bhi tumhaare shahr mein ab dil nahin rahe
yuuñ bhī tumhāre shahr meñ ab dil nahīñ rahe
jo the bhī ab vo ishq ke qābil nahīñ rahe
maiñ jin se kho gayā thā mujhe DhūñDhte nahīñ
jo mujh se kho ga.e the mujhe mil nahīñ rahe
kuchh to hamārī soch se ūñchā nikal gayā
kuchh ham bhī terī diid ke qābil nahīñ rahe
vo aa.ina dikhā nahīñ paayā tumhārā aks
so ham us aa.ine ke muqābil nahīñ rahe
tū bhī anā-parast hai so kholtā nahīñ
aur ham bhī tere dar se kahīñ hil nahīñ rahe
jin kī vajah se aaj lagī aag kaun haiñ
vo kaun haiñ jo bhiiḌ meñ shāmil nahīñ rahe
ham bhī tumhāre āḳhirī hamrāh the nahīñ
tum bhī hamārī āḳhirī manzil nahīñ rahe
yun bhi tumhaare shahr mein ab dil nahin rahe
jo the bhi ab wo ishq ke qabil nahin rahe
main jin se kho gaya tha mujhe DhunDhte nahin
jo mujh se kho gae the mujhe mil nahin rahe
kuchh to hamari soch se uncha nikal gaya
kuchh hum bhi teri did ke qabil nahin rahe
wo aaina dikha nahin paya tumhaara aks
so hum us aaine ke muqabil nahin rahe
tu bhi ana-parast hai so kholta nahin
aur hum bhi tere dar se kahin hil nahin rahe
jin ki wajah se aaj lagi aag kaun hain
wo kaun hain jo bhiD mein shamil nahin rahe
hum bhi tumhaare aaKHiri hamrah the nahin
tum bhi hamari aaKHiri manzil nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.