yun chale daur to rindon ka baDa kaam chale
yuuñ chale daur to rindoñ kā baḌā kaam chale
ḳhum baḌhe shīsha jhuke baada Dhale jaam chale
jhel kar ahl-e-jahāñ sadma-o-ālām chale
shād-kām aa.e jo duniyā meñ vo nākām chale
be-piye kuchh nahīñ jiine kā maza ai saaqī
rāt-din jaam chale jaam chale jaam chale
kūcha-e-ishq meñ taklīf hī taklīf rahī
ham ba-ārām na aa.e na ba-ārām chale
haath par haath dhare ahl-e-nazar baiThe haiñ
husn agar kaam chalā.e to koī kaam chale
zinda rahne ke maqāsid haiñ haqīqat meñ yahī
haath paañv apne chaleñ kaam chale naam chale
vādī-e-ishq meñ rahbar kī zarūrat kyā hai
ham chaleñ aur hamārā dil-e-nākām chale
muskurāte haiñ jo ġhunche to khile jaate haiñ phuul
daur-e-jām aise meñ ai sāqī-e-gulfām chale
ġhair mumkin hai baġhair us ke mohabbat kā nibāh
dil se miltā nahīñ jab dil hī to kyā kaam chale
mudda.ā ye hai nikal aa.e dobāra ḳhurshīd
ki jahāñ shaam huī aap sar-e-bām chale
kyuuñ kahā maiñ ne ki sun lījiye rūdād-e-sitam
vo bigaḌ kar uThe dete hue dushnām chale
hazrat-e-'nūh' uThāte haiñ jo tūfān-e-suḳhan
shāyad is kā ho ye matlab ki mirā naam chale
yun chale daur to rindon ka baDa kaam chale
KHum baDhe shisha jhuke baada Dhale jam chale
jhel kar ahl-e-jahan sadma-o-alam chale
shad-kaam aae jo duniya mein wo nakaam chale
be-piye kuchh nahin jine ka maza ai saqi
raat-din jam chale jam chale jam chale
kucha-e-ishq mein taklif hi taklif rahi
hum ba-aram na aae na ba-aram chale
hath par hath dhare ahl-e-nazar baiThe hain
husn agar kaam chalae to koi kaam chale
zinda rahne ke maqasid hain haqiqat mein yahi
hath panw apne chalen kaam chale nam chale
wadi-e-ishq mein rahbar ki zarurat kya hai
hum chalen aur hamara dil-e-nakaam chale
muskuraate hain jo ghunche to khile jate hain phul
daur-e-jam aise mein ai saqi-e-gulfam chale
ghair mumkin hai baghair us ke mohabbat ka nibah
dil se milta nahin jab dil hi to kya kaam chale
muddaa ye hai nikal aae dobara KHurshid
ki jahan sham hui aap sar-e-baam chale
kyun kaha main ne ki sun lijiye rudad-e-sitam
wo bigaD kar uThe dete hue dushnam chale
hazrat-e-'nuh' uThate hain jo tufan-e-suKHan
shayad is ka ho ye matlab ki mera nam chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.