yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun
yuuñ dāvat-e-shabāb na do maiñ nashe meñ huuñ
ye dūsrī sharāb na do maiñ nashe meñ huuñ
aisā na ho ki nashshe meñ kaT jaa.e zindagī
āñkhoñ ko koī ḳhvāb na do maiñ nashe meñ huuñ
itnā bahut hai tum se nigāheñ milī raheñ
ab bas karo sharāb na do maiñ nashe meñ huuñ
yaaro dil-o-dimāġh meñ kaafī hai fāsla
uljhe hue javāb na do maiñ nashe meñ huuñ
aisā na ho ki raaz tumhārā maiñ khol duuñ
dekho mujhe javāb na do maiñ nashe meñ huuñ
dāman kā hosh hai na garebāñ kā hosh hai
kāñToñ bharā gulāb na do maiñ nashe meñ huuñ
ḳhud ko sambhālnā yahāñ mushkil hai dosto
chhalkī huī sharāb na do maiñ nashe meñ huuñ
jo lamhe 'nūr' hosh meñ rah kar guzar ga.e
un kā abhī hisāb na do maiñ nashe meñ huuñ
yun dawat-e-shabab na do main nashe mein hun
ye dusri sharab na do main nashe mein hun
aisa na ho ki nashshe mein kaT jae zindagi
aankhon ko koi KHwab na do main nashe mein hun
itna bahut hai tum se nigahen mili rahen
ab bas karo sharab na do main nashe mein hun
yaro dil-o-dimagh mein kafi hai fasla
uljhe hue jawab na do main nashe mein hun
aisa na ho ki raaz tumhaara main khol dun
dekho mujhe jawab na do main nashe mein hun
daman ka hosh hai na gareban ka hosh hai
kanTon bhara gulab na do main nashe mein hun
KHud ko sambhaalna yahan mushkil hai dosto
chhalki hui sharab na do main nashe mein hun
jo lamhe 'nur' hosh mein rah kar guzar gae
un ka abhi hisab na do main nashe mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.