yun dahakta hai teri yaad ka tan mein suraj
yuuñ dahaktā hai tirī yaad kā tan meñ sūraj
jaise bahtā ho lahū ban ke badan meñ sūraj
kam-nigāhī se zamāne ne unheñ phuul kahā
varna ham ne to ugaa.e the chaman meñ sūraj
rāt-bhar ham ne ujāloñ kī nigahbānī kī
sub.h ko baT gayā ek ek kiran meñ sūraj
kaisī ye pyaas hai maujoñ kī jo bujhtī hī nahīñ
roz utartā hai samundar ke dahan meñ sūraj
mere saa.e ne mujhe aise chhupā rakkhā hai
jis tarah chāñd se aatā hai gahan meñ sūraj
haath meñ le ke ‘asā tum yad-e-baizā to dikhāo
log dekheñ to sahī saañp ke phan meñ sūraj
ziist ne daaġh jo baḳhshe haiñ chamakne do 'asar'
mat chhupāo abhī lafzoñ ke kafan meñ sūraj
yun dahakta hai teri yaad ka tan mein suraj
jaise bahta ho lahu ban ke badan mein suraj
kam-nigahi se zamane ne unhen phul kaha
warna hum ne to ugae the chaman mein suraj
raat-bhar hum ne ujalon ki nigahbani ki
subh ko baT gaya ek ek kiran mein suraj
kaisi ye pyas hai maujon ki jo bujhti hi nahin
roz utarta hai samundar ke dahan mein suraj
mere sae ne mujhe aise chhupa rakkha hai
jis tarah chand se aata hai gahan mein suraj
hath mein le ke ‘asa tum yad-e-baiza to dikhao
log dekhen to sahi sanp ke phan mein suraj
zist ne dagh jo baKHshe hain chamakne do 'asar'
mat chhupao abhi lafzon ke kafan mein suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.