yun damakte chehre par reshmin aanchal hai
yuuñ damakte chehre par reshmīn āñchal hai
jaise chāñd par koī narm narm bādal hai
aap bhī nahīñ aa.e maut bhī nahīñ aa.ī
zindagī kā afsāna kab se nā-mukammal hai
mai-kade kā ai saaqī kyā yahī hai sarmāya
chand TuuTe paimāne ik shikasta botal hai
amn ke bahāne se har taraf hai ḳhūñ-rezī
amn-gah nahīñ duniyā pur-fareb maqtal hai
log phir samajh lete vāqa'ī hai dīvāna
aap bhī jo kah dete ye koī to pāgal hai
yun damakte chehre par reshmin aanchal hai
jaise chand par koi narm narm baadal hai
aap bhi nahin aae maut bhi nahin aai
zindagi ka afsana kab se na-mukammal hai
mai-kade ka ai saqi kya yahi hai sarmaya
chand TuTe paimane ek shikasta botal hai
amn ke bahane se har taraf hai KHun-rezi
amn-gah nahin duniya pur-fareb maqtal hai
log phir samajh lete waqa'i hai diwana
aap bhi jo kah dete ye koi to pagal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.