yun daraKHton ki hai bhar-mar parinde nahin hain
yuuñ daraḳhtoñ kī hai bhar-mār parinde nahīñ haiñ
kahā jaatā hai ki us paar parinde nahīñ haiñ
jo parinda hai vo thak haar ke baiThā huā hai
aur jo uḌne ko haiñ tayyār parinde nahīñ haiñ
shāḳh-e-jamhūr pe imroz jo qābiz haiñ yahāñ
billiyāñ haiñ vo ḳhabar-dār parinde nahīñ haiñ
aa rahe haiñ nā kahā nā ki haiñ raste meñ abhī
ham bhī insān hī haiñ yaar parinde nahīñ haiñ
chug rahe haiñ kisī pardes meñ dāna-dunkā
mausam-e-gul meñ bhī is baar parinde nahīñ haiñ
tujh samā.at kī muñDeroñ pe chahakte lekin
mere ash.ār haiñ ash.ār parinde nahīñ haiñ
baḌī āsānī se uf daam meñ aa jaate haiñ ye
bāġh-e-dil meñ mire hushyār parinde nahīñ haiñ
yun daraKHton ki hai bhar-mar parinde nahin hain
kaha jata hai ki us par parinde nahin hain
jo parinda hai wo thak haar ke baiTha hua hai
aur jo uDne ko hain tayyar parinde nahin hain
shaKH-e-jamhur pe imroz jo qabiz hain yahan
billiyan hain wo KHabar-dar parinde nahin hain
aa rahe hain na kaha na ki hain raste mein abhi
hum bhi insan hi hain yar parinde nahin hain
chug rahe hain kisi pardes mein dana-dunka
mausam-e-gul mein bhi is bar parinde nahin hain
tujh samaat ki munDeron pe chahakte lekin
mere ashaar hain ashaar parinde nahin hain
baDi aasani se uf dam mein aa jate hain ye
bagh-e-dil mein mere hushyar parinde nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.