yun dekhte ho kyon mujhe nazren uTha ke tum
yuuñ dekhte ho kyoñ mujhe nazreñ uThā ke tum
dīvāna kar rahe ho tamāsha banā ke tum
sunte haiñ ek nuur hai raushan hijāb meñ
dikhlā do ik jhalak zarā parda uThā ke tum
maiñ huuñ tumhārā aur tumhārā rahūñgā maiñ
kyoñ aazmā rahe ho mujhe aazmā ke tum
ham ko banāyā aa.ina dīdār ke liye
ab muskurā rahe ho ye sūrat miTā ke tum
rusvā.iyoñ kā ḳhauf thā rusvā.iyāñ milīñ
ab kyā karoge rāz-e-mohabbat chhupā ke tum
ye chāñd āsmāñ se zamīñ par utar paḌe
ik baar dekh lo jo ise muskurā ke tum
'zīshān' tum ne dil ko sanam-ḳhāna kar liyā
ab kyā karoge sū-e-haram sar jhukā ke tum
yun dekhte ho kyon mujhe nazren uTha ke tum
diwana kar rahe ho tamasha bana ke tum
sunte hain ek nur hai raushan hijab mein
dikhla do ek jhalak zara parda uTha ke tum
main hun tumhaara aur tumhaara rahunga main
kyon aazma rahe ho mujhe aazma ke tum
hum ko banaya aaina didar ke liye
ab muskura rahe ho ye surat miTa ke tum
ruswaiyon ka KHauf tha ruswaiyan milin
ab kya karoge raaz-e-mohabbat chhupa ke tum
ye chand aasman se zamin par utar paDe
ek bar dekh lo jo ise muskura ke tum
'zishan' tum ne dil ko sanam-KHana kar liya
ab kya karoge su-e-haram sar jhuka ke tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.