yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main
yuuñ dil-e-dīvāna ko aksar sazā detā huuñ maiñ
apnī barbādī pe ḳhud hī muskurā detā huuñ maiñ
apne dil ke ḳhuun se vo gul khilā detā huuñ maiñ
regzāroñ ko gulistāñ kī adā detā huuñ maiñ
aisī manzil par mujhe pahuñchā diyā hai ishq ne
merā jo qātil hai us ko bhī duā detā huuñ maiñ
kyuuñ kisī kā naam le kar ishq ko rusvā karūñ
apne dil kī aag ko ḳhud hī havā detā huuñ maiñ
zikr yuuñ kartā huuñ apne ġham kā apne dard kā
hosh vāloñ ko bhī dīvāna banā detā huuñ maiñ
kyā guzartī hai mire dil par ḳhudārā kuchh na pūchh
dushmanoñ ko jab talak ghar kā patā detā huuñ maiñ
apnī hī āvāz ḳhud lagtī hai mujh ko ajnabī
jab akele meñ kabhī tujh ko sadā detā huuñ maiñ
nashtar-e-yād-e-ġham-e-jānāñ se 'qaisar' in dinoñ
zaḳhm jo sote haiñ un ko phir jagā detā huuñ maiñ
yun dil-e-diwana ko aksar saza deta hun main
apni barbaadi pe KHud hi muskura deta hun main
apne dil ke KHun se wo gul khila deta hun main
regzaron ko gulistan ki ada deta hun main
aisi manzil par mujhe pahuncha diya hai ishq ne
mera jo qatil hai us ko bhi dua deta hun main
kyun kisi ka nam le kar ishq ko ruswa karun
apne dil ki aag ko KHud hi hawa deta hun main
zikr yun karta hun apne gham ka apne dard ka
hosh walon ko bhi diwana bana deta hun main
kya guzarti hai mere dil par KHudara kuchh na puchh
dushmanon ko jab talak ghar ka pata deta hun main
apni hi aawaz KHud lagti hai mujh ko ajnabi
jab akele mein kabhi tujh ko sada deta hun main
nashtar-e-yaad-e-gham-e-jaanan se 'qaisar' in dinon
zaKHm jo sote hain un ko phir jaga deta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.