yun faisla na kar abhi sikka uchhaal ke
yuuñ faisla na kar abhī sikka uchhāl ke
pahle javāb de mire har ik savāl ke
shīshe ḳharīdne lage bastī ke sang-dil
karnī hai ā.inoñ kī hifāzat sañbhāl ke
apnāyā jis ko ham ne vo apnā nahīñ huā
rishta banānā yaar bahut dekh-bhāl ke
badnām ek raaz batāne se ho ga.e
hote nahīñ haiñ dost bhī yaksāñ ḳhayāl ke
sapne dikhā ke us ne mirī niiñd chhīn lī
ḳhud so gayā hai mujh ko vo mushkil meñ Daal ke
jo āsmāñ kī chaah meñ uḌnā na siikh paa.e
qissa gaḌhe hai un ke hī behad kamāl ke
marnā to tai thā saañp kā insāñ ko kaaT kar
rakkhā hai zahr muñh meñ mohabbat kā paal ke
yun faisla na kar abhi sikka uchhaal ke
pahle jawab de mere har ek sawal ke
shishe KHaridne lage basti ke sang-dil
karni hai aainon ki hifazat sanbhaal ke
apnaya jis ko hum ne wo apna nahin hua
rishta banana yar bahut dekh-bhaal ke
badnam ek raaz batane se ho gae
hote nahin hain dost bhi yaksan KHayal ke
sapne dikha ke us ne meri nind chhin li
KHud so gaya hai mujh ko wo mushkil mein Dal ke
jo aasman ki chah mein uDna na sikh pae
qissa gaDhe hai un ke hi behad kamal ke
marna to tai tha sanp ka insan ko kaT kar
rakkha hai zahr munh mein mohabbat ka pal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.