yun ghamon se najat paun kya
yuuñ ġhamoñ se najāt pā.ūñ kyā
terī furqat meñ mar hī jā.ūñ kyā
shirk-o-bid’at meñ Duub jā.ūñ kyā
har kisī dar pe sar jhukā.ūñ kyā
jhuuT kahtā nahīñ huuñ maiñ jānam
aap ko yuuñ yaqīñ dilā.ūñ kyā
aap hī aap haiñ base is meñ
apnā dil chiir kar dikhā.ūñ kyā
muskurā.ūñ nahīñ to tum hī kaho
ashk zaḳhmoñ pe maiñ bahā.ūñ kyā
jiit paayā nahīñ tumhārā dil
hausla ab maiñ haar jā.ūñ kyā
aap āsāñ safar samajhte haiñ
aable paañv ke dikhā.ūñ kyā
ye qalam kyoñ 'asar' nahīñ chaltā
is ko ḳhūn-e-jigar pilā.ūñ kyā
yun ghamon se najat paun kya
teri furqat mein mar hi jaun kya
shirk-o-bid’at mein Dub jaun kya
har kisi dar pe sar jhukaun kya
jhuT kahta nahin hun main jaanam
aap ko yun yaqin dilaun kya
aap hi aap hain base is mein
apna dil chir kar dikhaun kya
muskuraun nahin to tum hi kaho
ashk zaKHmon pe main bahaun kya
jit paya nahin tumhaara dil
hausla ab main haar jaun kya
aap aasan safar samajhte hain
aable panw ke dikhaun kya
ye qalam kyon 'asar' nahin chalta
is ko KHun-e-jigar pilaun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.