yun hain KHayal-e-yar pe iqan kiye hue
yuuñ haiñ ḳhayāl-e-yār pe īqāñ kiye hue
kuchh qurbatoñ kī yaad ko mehmāñ kiye hue
lagte haiñ mere dost ba-zāhir to pur-ḳhulūs
par buġhz dil meñ rakhte haiñ pinhāñ kiye hue
ab chehre ke nuqūsh mujhe yaad tak nahīñ
''muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue''
kore varaq haiñ ziist ke be-rang zindagī
'arsa huā kitāb ko 'unvāñ kiye hue
phailegī is jigar ke lahū se hī raushnī
baiThe haiñ rahguzar pe charāġhāñ kiye hue
lafzoñ ke ābshār meñ bahne lage haiñ ġham
do bol pyaar ke mujhe farhāñ kiye hue
aa jā.iye ki dard bhī kuchh intihā kā hai
muddat huī hai dard kā darmāñ kiye hue
baiThe haiñ aas meñ hai shafā'at kā aasrā
aur āḳhirat kā ham nahīñ sāmāñ kiye hue
yun hain KHayal-e-yar pe iqan kiye hue
kuchh qurbaton ki yaad ko mehman kiye hue
lagte hain mere dost ba-zahir to pur-KHulus
par bughz dil mein rakhte hain pinhan kiye hue
ab chehre ke nuqush mujhe yaad tak nahin
muddat hui hai yar ko mehman kiye hue
kore waraq hain zist ke be-rang zindagi
'arsa hua kitab ko 'unwan kiye hue
phailegi is jigar ke lahu se hi raushni
baiThe hain rahguzar pe charaghan kiye hue
lafzon ke aabshaar mein bahne lage hain gham
do bol pyar ke mujhe farhan kiye hue
aa jaiye ki dard bhi kuchh intiha ka hai
muddat hui hai dard ka darman kiye hue
baiThe hain aas mein hai shafa'at ka aasra
aur aaKHirat ka hum nahin saman kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.