yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana
yuuñ hī hai nuur vahdat kā dil-e-insāñ meñ aa jaanā
ki jaise aañkh ke til meñ jahāñ-bhar kā samā jaanā
na lete naam bhī vo zulm kā bhūle se duniyā meñ
agar itnā samajh lete ki hai pesh-e-ḳhudā jaanā
ye fitrat husn kī hai aur vo tīnat mohabbat kī
jise tum ne jafā samjhā use ham ne vafā jaanā
bayāñ kar denā hāl-e-zār ham sahrā-nashīnoñ kā
agar kūche meñ is zālim ke o bād-e-sabā jaanā
mile fursat agar tum ko to ba.ad marg dam-bhar ko
barā-e-fātiha bekas kī turbat par bhī aa jaanā
na samjhī tum ne kuchh hastī hamārī ishq meñ lekin
tumheñ apne se bhī ham ne sivā samjhā sivā jaanā
haqīqat meñ vahī manzil-shanās-e-rāh-e-irfāñ hai
ki jis ne apnī har ik saañs ko bāñg-e-darā jaanā
samajhtā koī jīte-jī to haañ ik baat thī 'sho.ala'
mire marne pe duniyā ne mujhe jaanā to kyā jaanā
yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana
ki jaise aankh ke til mein jahan-bhar ka sama jaana
na lete nam bhi wo zulm ka bhule se duniya mein
agar itna samajh lete ki hai pesh-e-KHuda jaana
ye fitrat husn ki hai aur wo tinat mohabbat ki
jise tum ne jafa samjha use hum ne wafa jaana
bayan kar dena haal-e-zar hum sahra-nashinon ka
agar kuche mein is zalim ke o baad-e-saba jaana
mile fursat agar tum ko to baad marg dam-bhar ko
bara-e-fatiha bekas ki turbat par bhi aa jaana
na samjhi tum ne kuchh hasti hamari ishq mein lekin
tumhein apne se bhi hum ne siwa samjha siwa jaana
haqiqat mein wahi manzil-shanas-e-rah-e-irfan hai
ki jis ne apni har ek sans ko bang-e-dara jaana
samajhta koi jite-ji to han ek baat thi 'shoala'
mere marne pe duniya ne mujhe jaana to kya jaana
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 19)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.