yun hirasan us ka dil hai doston ke darmiyan
yuuñ hirāsāñ us kā dil hai dostoñ ke darmiyāñ
raat jaise ho ga.ī ho dushmanoñ ke darmiyāñ
is añdherī raat meñ jugnū nazar aate nahīñ
chāñd ojhal ho gayā hai bādaloñ ke darmiyāñ
sang-dil haiñ sab yahāñ par ham kise apnā kaheñ
bazm meñ tanhā sā huuñ maiñ nafratoñ ke darmiyāñ
ruḳh se pardā jab uThā to sab haqīqat khul ga.ī
chāñd sā mukhḌā bhī ik hai zālimoñ ke darmiyāñ
hosh-mandī hai zarūrī mausamoñ ko dekh kar
kuchh bhañvar bhī uḌ rahe haiñ titliyoñ ke darmiyāñ
dekh lo taqdīr bhī nākām ho kar rah ga.ī
aaj nāseh aa phañsā hai hājiyoñ ke darmiyāñ
jaam mai miinā hai 'ātish' saath meñ hai sāqiyā
ab na koī aa.e bas in mastiyoñ ke darmiyāñ
yun hirasan us ka dil hai doston ke darmiyan
raat jaise ho gai ho dushmanon ke darmiyan
is andheri raat mein jugnu nazar aate nahin
chand ojhal ho gaya hai baadalon ke darmiyan
sang-dil hain sab yahan par hum kise apna kahen
bazm mein tanha sa hun main nafraton ke darmiyan
ruKH se parda jab uTha to sab haqiqat khul gai
chand sa mukhDa bhi ek hai zalimon ke darmiyan
hosh-mandi hai zaruri mausamon ko dekh kar
kuchh bhanwar bhi uD rahe hain titliyon ke darmiyan
dekh lo taqdir bhi nakaam ho kar rah gai
aaj naseh aa phansa hai hajiyon ke darmiyan
jam mai mina hai 'atish' sath mein hai saqiya
ab na koi aae bas in mastiyon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.