yun ho na mere samne ai husn be-hijab
yun ho na mere samne ai husn be-hijab
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
yuuñ ho na mere sāmne ai husn be-hijāb
har aan baḌh rahā hai mirā zauq-e-iztirāb
chāhūñ agar badal duuñ maiñ ye nazm-e-kā.enāt
maḳhfī hai mere siine meñ duniyā-e-inqalāb
vo muskurā rahe haiñ nigāhoñ ke sāmne
shāyad mirī du'ā.eñ huiiñ aaj mustajāb
maḳhmūr āñkheñ mast adā.eñ vo bāñkpan
uThtī huī javānī ubaltā huā shabāb
dāman bachā ke aap kahāñ jā.eñge 'zakī'
zarre bhī haiñ liye hue sāmān-e-inqilāb
yun ho na mere samne ai husn be-hijab
har aan baDh raha hai mera zauq-e-iztirab
chahun agar badal dun main ye nazm-e-kaenat
maKHfi hai mere sine mein duniya-e-inqalab
wo muskura rahe hain nigahon ke samne
shayad meri du'aen huin aaj mustajab
maKHmur aankhen mast adaen wo bankpan
uThti hui jawani ubalta hua shabab
daman bacha ke aap kahan jaenge 'zaki'
zarre bhi hain liye hue saman-e-inqilab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.