yun imtihan mera lete rahe masail
yuuñ imtihān merā lete rahe masā.il
ik haath par thā dariyā ik haath par thā sāhil
sūkhī paḌīñ haiñ āñkheñ TuuTā huā hai dil bhī
kahte haiñ ishq jis ko hotā bahut hai mushkil
is bāda-kash ko dekho mastī meñ mast hai yuuñ
hai apne aap hī meñ jaise vo ek mahfil
har naqsh-e-pā ko tere ham chuum kar chaleñge
apnī mohabbatoñ meñ tū kar le ham ko shāmil
ta.alīm-yāfta hai phir bhī ye chīra-dastī
bartāv kar rahe haiñ jaise ki haiñ vo jāhil
tū kyoñ samajh rahā hai ḳhud ko ki be-gunah hai
jis ne miTā.e sapne hotā hai vo bhī qātil
guzrā hai saarā jīvan laḌte hue jahāñ se
duniyā ke har chalan kā hāsil nahīñ thā qaa.il
ho kar judā vo tujh se kuchh aisā kho gayā hai
ab DhūñDtā hai ḳhud ko har mai-kade meñ hāsil
yun imtihan mera lete rahe masail
ek hath par tha dariya ek hath par tha sahil
sukhi paDin hain aankhen TuTa hua hai dil bhi
kahte hain ishq jis ko hota bahut hai mushkil
is baada-kash ko dekho masti mein mast hai yun
hai apne aap hi mein jaise wo ek mahfil
har naqsh-e-pa ko tere hum chum kar chalenge
apni mohabbaton mein tu kar le hum ko shamil
talim-yafta hai phir bhi ye chira-dasti
bartaw kar rahe hain jaise ki hain wo jahil
tu kyon samajh raha hai KHud ko ki be-gunah hai
jis ne miTae sapne hota hai wo bhi qatil
guzra hai sara jiwan laDte hue jahan se
duniya ke har chalan ka hasil nahin tha qail
ho kar juda wo tujh se kuchh aisa kho gaya hai
ab DhunDta hai KHud ko har mai-kade mein hasil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.