yun intiqam tujhse fasl-e-bahaar lenge
yuuñ intiqām tujh se fasl-e-bahār leñge
phūloñ ke sāmne ham kāñToñ ke pyaar leñge
jaane do ham ko tanhā tūfān-e-ārzū meñ
jab Dūbne lageñge tum ko pukār leñge
jo kuchh thā paas apne duniyā ne le liyā hai
ik jaan rah ga.ī hai vo ġham-gusār leñge
is daur-e-tishnagī meñ kyā mai-kade ko chhoḌeñ
kuchh din guzar ga.e haiñ kuchh din guzār leñge
sayyād o bāġhbāñ ke tevar batā rahe haiñ
ye log fasl-e-gul ke kapḌe utaar leñge
yun intiqam tujh se fasl-e-bahaar lenge
phulon ke samne hum kanTon ke pyar lenge
jaane do hum ko tanha tufan-e-arzu mein
jab Dubne lagenge tum ko pukar lenge
jo kuchh tha pas apne duniya ne le liya hai
ek jaan rah gai hai wo gham-gusar lenge
is daur-e-tishnagi mein kya mai-kade ko chhoDen
kuchh din guzar gae hain kuchh din guzar lenge
sayyaad o baghban ke tewar bata rahe hain
ye log fasl-e-gul ke kapDe utar lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.