yun ja raha hun qafila-e-zindagi ke sath
yuuñ jā rahā huuñ qāfila-e-zindagī ke saath
jis tarah ajnabī ho kisī ajnabī ke saath
duniyā meñ pā rahā huuñ nihāyat kamī ke saath
vo rabt aadmī ko jo hai aadmī ke saath
ab is ko maslahat ke sivā aur kyā kaheñ
dekhā hameñ kisī ne magar be-ruḳhī ke saath
vo vaqt aa gayā hai ki allāh kī panāh
hamdardiyāñ nahīñ haiñ kisī ko kisī ke saath
majbūrī-e-mazāq-e-mohabbat na pūchhiye
barbādiyoñ se khel rahā huuñ ḳhushī ke saath
aise bhī ahd-e-nau meñ shab-o-roz aa.e haiñ
insāniyat luTī hai baḌī be-kasī ke saath
sajde tamām umr ke bekār haiñ 'nihāl'
jab tak ḳhulūs-e-qalb na ho bandagī ke saath
yun ja raha hun qafila-e-zindagi ke sath
jis tarah ajnabi ho kisi ajnabi ke sath
duniya mein pa raha hun nihayat kami ke sath
wo rabt aadmi ko jo hai aadmi ke sath
ab is ko maslahat ke siwa aur kya kahen
dekha hamein kisi ne magar be-ruKHi ke sath
wo waqt aa gaya hai ki allah ki panah
hamdardiyan nahin hain kisi ko kisi ke sath
majburi-e-mazaq-e-mohabbat na puchhiye
barbaadiyon se khel raha hun KHushi ke sath
aise bhi ahd-e-nau mein shab-o-roz aae hain
insaniyat luTi hai baDi be-kasi ke sath
sajde tamam umr ke bekar hain 'nihaal'
jab tak KHulus-e-qalb na ho bandagi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.