yun jo khulta hai zamane ka bharam achchha hai
yuuñ jo khultā hai zamāne kā bharam achchhā hai
ham pe hote haiñ zamāne ke sitam achchhā hai
vo qadam kyā jo tajassus meñ rahe manzil ke
baḌh ke ḳhud chuum le manzil vo qadam achchhā hai
hai tamannā-e-asīrī to kabhī is meñ ulajh
gesū-e-vaqt kā pech achchhā hai ḳham achchhā hai
amn-o-insāf-o-musāvāt kī ḳhātir logo
tum uThāo jo baġhāvat kā alam achchhā hai
qatre milte haiñ to vo hote haiñ dariyā meñ shumār
ham milā kar jo chaleñ apne qadam achchhā hai
shīsha-e-dil meñ to hai dost ke irfāñ kī sharāb
shīsha-e-dil se kahāñ sāġhar-o-jam achchhā hai
mil ke kuchh karne kā ab aayā hai vaqt ai yaaro
jis qadar ham meñ rahe fāsla kam achchhā hai
'aḳhtar' aa kar chaman-e-gang-o-jaman ko dekhe
jo ye kahtā hai ki gulzār-e-iram achchhā hai
yun jo khulta hai zamane ka bharam achchha hai
hum pe hote hain zamane ke sitam achchha hai
wo qadam kya jo tajassus mein rahe manzil ke
baDh ke KHud chum le manzil wo qadam achchha hai
hai tamanna-e-asiri to kabhi is mein ulajh
gesu-e-waqt ka pech achchha hai KHam achchha hai
amn-o-insaf-o-musawat ki KHatir logo
tum uThao jo baghawat ka alam achchha hai
qatre milte hain to wo hote hain dariya mein shumar
hum mila kar jo chalen apne qadam achchha hai
shisha-e-dil mein to hai dost ke irfan ki sharab
shisha-e-dil se kahan saghar-o-jam achchha hai
mil ke kuchh karne ka ab aaya hai waqt ai yaro
jis qadar hum mein rahe fasla kam achchha hai
'aKHtar' aa kar chaman-e-gang-o-jaman ko dekhe
jo ye kahta hai ki gulzar-e-iram achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.