yun kahne ko KHanjar ko bhi KHanjar hi kahenge
yun kahne ko KHanjar ko bhi KHanjar hi kahenge
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
yuuñ kahne ko ḳhanjar ko bhī ḳhanjar hī kaheñge
par kyā tere abrū ke barābar hī kaheñge
zāhid jo mazā mai meñ yahāñ pūchh na ham se
kahnā hai jo kuchh vo lab-e-kausar hī kaheñge
maanā na kareñ va.ada hameñ bhī to kaheñ vo
gar kuchh nahīñ hāl-e-dil-e-muztar hī kaheñge
sunñe kī koī had bhī hai haañ pūchhte kyoñ ho
ham haal bhī apnā sar-e-mahshar hī kaheñge
do lafzoñ meñ kyūñkar ho na sunñā hai na suniye
ham kahne ko baiTheñge to daftar hī kaheñge
sunñe ko to kyā jāniye kyā kyā na suneñge
kahne ko to hāl-e-dil-e-muztar hī kaheñge
is meñ tirī mizhgāñ ho ki ho gosha-e-abrū
chubh jaa.e jo dil meñ use nashtar hī kaheñge
yuuñ kaam kiye us ne hazāroñ hameñ kyā kaam
ham ā.ina-sāzī-e-sikandar hī kaheñge
tum ne bhī to dekhā hai 'fahīm' us ko kaho na
ham apnī sī kahne ko barābar hī kaheñge
yun kahne ko KHanjar ko bhi KHanjar hi kahenge
par kya tere abru ke barabar hi kahenge
zahid jo maza mai mein yahan puchh na hum se
kahna hai jo kuchh wo lab-e-kausar hi kahenge
mana na karen wada hamein bhi to kahen wo
gar kuchh nahin haal-e-dil-e-muztar hi kahenge
sunne ki koi had bhi hai han puchhte kyon ho
hum haal bhi apna sar-e-mahshar hi kahenge
do lafzon mein kyunkar ho na sunna hai na suniye
hum kahne ko baiThenge to daftar hi kahenge
sunne ko to kya jaaniye kya kya na sunenge
kahne ko to haal-e-dil-e-muztar hi kahenge
is mein teri mizhgan ho ki ho gosha-e-abru
chubh jae jo dil mein use nashtar hi kahenge
yun kaam kiye us ne hazaron hamein kya kaam
hum aaina-sazi-e-sikandar hi kahenge
tum ne bhi to dekha hai 'fahim' us ko kaho na
hum apni si kahne ko barabar hi kahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.