yun kisi baat pe KHud ko na saza deta hun
yuuñ kisī baat pe ḳhud ko na sazā detā huuñ
ab to har baat ko āḳhir meñ bhulā detā huuñ
jaisā ulfat kī rivāyat kā bharam baaqī hai
maiñ bhī ab chuum ke peshānī jatā detā huuñ
yād-e-māzī ke azāboñ ko sunātā dekhūñ
dāstāñ apnī bhī do-chār sunā detā huuñ
maiñ ne ik gul ko mohabbat se sañbhāle rakkhā
log Darte haiñ ki ab bhī maiñ daġhā detā huuñ
yaad aate jo kabhī hijr ke qisse apne
aisā rotā huuñ ki auroñ ko rulā detā huuñ
aisā karnā bhī zarūrī hai so ab ye bhī kiyā
bhūlne vāloñ ko ab maiñ bhī bhulā detā huuñ
jise jaanā ho vo ab shauq se jaa.e lekin
phir na bolūñgā ki saa.e meñ jagah detā huuñ
apne jazbāt ke 'hassān' charāġhoñ ko maiñ
ab to bas baiTh ke lafzoñ kī havā detā huuñ
yun kisi baat pe KHud ko na saza deta hun
ab to har baat ko aaKHir mein bhula deta hun
jaisa ulfat ki riwayat ka bharam baqi hai
main bhi ab chum ke peshani jata deta hun
yaad-e-mazi ke azabon ko sunata dekhun
dastan apni bhi do-chaar suna deta hun
main ne ek gul ko mohabbat se sanbhaale rakkha
log Darte hain ki ab bhi main dagha deta hun
yaad aate jo kabhi hijr ke qisse apne
aisa rota hun ki auron ko rula deta hun
aisa karna bhi zaruri hai so ab ye bhi kiya
bhulne walon ko ab main bhi bhula deta hun
jise jaana ho wo ab shauq se jae lekin
phir na bolunga ki sae mein jagah deta hun
apne jazbaat ke 'hassan' charaghon ko main
ab to bas baiTh ke lafzon ki hawa deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.