yun lag raha hai jaise guman TuTne ko hai
yuuñ lag rahā hai jaise gumāñ TūTne ko hai
ya.anī haqīqatoñ kā jahāñ TūTne ko hai
ḳhvāb-o-ḳhayāl-o-fikr kī ra.anā.iyāñ liye
kāġhaz pe merā harf-e-bayāñ TūTne ko hai
jab is ke baad dā.imī ik ghar hai muntazir
kyā ġham jo aarzī sā makāñ TūTne ko hai
jo faisla huā hai adālat meñ haq taraf
hairān aql hai ye zabāñ TūTne ko hai
paḌh kar jadīd shā.irī ye fā.eda huā
uslūb apnā apnā bayāñ TūTne ko hai
dekho kināre apne sambhāle raho miyāñ
jaarī jo hai ye sail-e-ravāñ TūTne ko hai
ab kaun hogā apne nishāne kī zad pe yaañ
ab tiir kyā kareñge kamāñ TūTne ko hai
ab us ko aise chhoḌnā achchhā nahīñ miyāñ
kuchh ho ḳhayāl pīr-e-muġhāñ TūTne ko hai
bardāsht kī bhī koī to had hotī hai 'obaid'
ab is se aage band-e-fuġhāñ TūTne ko hai
yun lag raha hai jaise guman TuTne ko hai
yani haqiqaton ka jahan TuTne ko hai
KHwab-o-KHayal-o-fikr ki ranaiyan liye
kaghaz pe mera harf-e-bayan TuTne ko hai
jab is ke baad daimi ek ghar hai muntazir
kya gham jo aarzi sa makan TuTne ko hai
jo faisla hua hai adalat mein haq taraf
hairan aql hai ye zaban TuTne ko hai
paDh kar jadid shairi ye faeda hua
uslub apna apna bayan TuTne ko hai
dekho kinare apne sambhaale raho miyan
jari jo hai ye sail-e-rawan TuTne ko hai
ab kaun hoga apne nishane ki zad pe yan
ab tir kya karenge kaman TuTne ko hai
ab us ko aise chhoDna achchha nahin miyan
kuchh ho KHayal pir-e-mughan TuTne ko hai
bardasht ki bhi koi to had hoti hai 'obaid'
ab is se aage band-e-fughan TuTne ko hai
- Book : سخن دریا (Pg. 80)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.