yun lag raha hai main bhi samajhdar ho gai
yuuñ lag rahā hai maiñ bhī samajhdār ho ga.ī
sahrā meñ āñdhiyoñ kī taraf-dār ho ga.ī
dil kī zamīñ ne ma.arka jhelā na thā kabhī
dhaḌkan sahar se pahle azādār ho ga.ī
āvāz de ke roknā chāhā use magar
maiñ bad-nasīb aaj hī ḳhuddār ho ga.ī
dāġh-e-jigar se aañkh kā kājal banā diyā
maiñ apnī dāstāñ kī adākār ho ga.ī
dār-o-rasan se rābta merā na thā magar
kyā kījiye ki maut vafādār ho ga.ī
yun lag raha hai main bhi samajhdar ho gai
sahra mein aandhiyon ki taraf-dar ho gai
dil ki zamin ne marka jhela na tha kabhi
dhaDkan sahar se pahle azadar ho gai
aawaz de ke rokna chaha use magar
main bad-nasib aaj hi KHuddar ho gai
dagh-e-jigar se aankh ka kajal bana diya
main apni dastan ki adakar ho gai
dar-o-rasan se rabta mera na tha magar
kya kijiye ki maut wafadar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.