yun laga jab wo ban ke yar aaya
yuuñ lagā jab vo ban ke yaar aaya
dasht meñ mausam-e-bahār aaya
jang nazroñ kī chhiḌ ga.ī us se
aur maiñ apne dil ko haar aaya
apnī mastī meñ mast thā vo to
phir na jaane kyoñ us pe pyaar aaya
ek muddat huī use dekhe
ek arsa huā qarār aaya
ek us shaḳhs kā ḳhayāl mujhe
ek pal meñ hazār baar aaya
kab use bhuul paayā tū 'sāqib'
kab tujhe ḳhud pe iḳhtiyār aaya
yun laga jab wo ban ke yar aaya
dasht mein mausam-e-bahaar aaya
jang nazron ki chhiD gai us se
aur main apne dil ko haar aaya
apni masti mein mast tha wo to
phir na jaane kyon us pe pyar aaya
ek muddat hui use dekhe
ek arsa hua qarar aaya
ek us shaKHs ka KHayal mujhe
ek pal mein hazar bar aaya
kab use bhul paya tu 'saqib'
kab tujhe KHud pe iKHtiyar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.