yun log chaunk chaunk kar ungli uThae hain
yuuñ log chauñk chauñk kar uñglī uThā.e haiñ
jaise ham aaj pahle-pahal muskurā.e haiñ
aksar khulī fazāoñ meñ bhī sansanā.e haiñ
ham par hamāre ghar ne vo patthar chalā.e haiñ
ai mauj-e-gul idhar kā abhī ruḳh na kījiyo
kuchh log taaza taaza bayābāñ meñ aa.e haiñ
mahrūmiyoñ ke zahr se ham kab ke mar chuke
ye to ab apne jism kā lāsha uThā.e haiñ
haañ ham ko e'tirāf hai is kā ki ziist ko
ādāb ham ne jurm-e-vafā ke sikhā.e haiñ
dauḌe haiñ log sañg-e-taġhāful liye hue
ham jab bhī apne shahr ke nazdīk aa.e haiñ
fursat kahāñ nasīb qayām-o-qarār kī
ham log vaqt-e-shām daraḳhtoñ ke saa.e haiñ
is darja bhiiḌ itnī ghuTan hai ki al-amāñ
yādoñ kā shahr chhoḌ ke ham bhaag aa.e haiñ
vīrāna-e-ḳhayāl kī vahshat na kam huī
hālāñki baat baat pe ham muskurā.e haiñ
chehre pe paḌ rahī hai tirī be-ruḳhī kī dhuup
siine meñ har taraf tirī yādoñ ke saa.e haiñ
raftār-e-zindagī hai ki māñge hai bijliyāñ
ham haiñ ki be-hisī ko gale se lagā.e haiñ
yāroñ ko haal vādi-e-ġhurbat kā kyā likheñ
mahsūs ho rahā hai ham apne ghar aa.e haiñ
zabt-e-ġham-e-hayāt bhī jin ko na pī sakā
'nāzish' vo ashk ham ne ġhazal meñ chhupā.e haiñ
yun log chaunk chaunk kar ungli uThae hain
jaise hum aaj pahle-pahal muskurae hain
aksar khuli fazaon mein bhi sansanae hain
hum par hamare ghar ne wo patthar chalae hain
ai mauj-e-gul idhar ka abhi ruKH na kijiyo
kuchh log taza taza bayaban mein aae hain
mahrumiyon ke zahr se hum kab ke mar chuke
ye to ab apne jism ka lasha uThae hain
han hum ko e'tiraf hai is ka ki zist ko
aadab hum ne jurm-e-wafa ke sikhae hain
dauDe hain log sang-e-taghaful liye hue
hum jab bhi apne shahr ke nazdik aae hain
fursat kahan nasib qayam-o-qarar ki
hum log waqt-e-sham daraKHton ke sae hain
is darja bhiD itni ghuTan hai ki al-aman
yaadon ka shahr chhoD ke hum bhag aae hain
virana-e-KHayal ki wahshat na kam hui
haalanki baat baat pe hum muskurae hain
chehre pe paD rahi hai teri be-ruKHi ki dhup
sine mein har taraf teri yaadon ke sae hain
raftar-e-zindagi hai ki mange hai bijliyan
hum hain ki be-hisi ko gale se lagae hain
yaron ko haal wadi-e-ghurbat ka kya likhen
mahsus ho raha hai hum apne ghar aae hain
zabt-e-gham-e-hayat bhi jin ko na pi saka
'nazish' wo ashk hum ne ghazal mein chhupae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.